Plot:
Ek raaz ne do zindagiyan ujaad di — ek asli beti jise uski maa ne anjaane mein kho diya, aur doosri, jinhone uski jagah chura kar jee li ek raajkumari ki zindagi. Gauri, ek gareeb maali ki beti jaisi pali, jise kabhi nahi pata tha ki uske gale ka ek pendant uski asli pehchaan ka saboot hai. Aarvi, ek ameer khandaan ki laadli jo har mod par Gauri ko mitane ki koshish karti hai — use kabhi yeh andaza nahi tha ki uska poora jeevan ek jhooth par bana hai. Jab sach samne aata hai, toh ek maa do betiyon ke beech ulajh jaati hai. Dard, dhokha, DNA reports aur ek jalte ghar ki yaadein — sab kuch laut aata hai. Aur tab shuru hoti hai asli beti ke haq ki ladai.
Cast & Crew: